Sunday, July 21, 2019

Abhi to me bacchi ho.

Abhi to me bacchi ho,
Islie ma papa daat dete hai,
.
.
- Shaam me hi cartoon dekhne milega,
- Dosa to Sunday ko hi milega,
- 11bje ke baad TV koi ni dekhega, ,
- Suno ghar 8bje ke pehle ajaana,
- Ladko ke sath mat ghumna,
.
.
Esha hi kuch hisab,
Mere ghar ka bhi tha,
Sochti thi me,
Abhi to me bacchi ho,
Islie ma papa daat dete hai,
Lekin Jab me badi ho jaugi,
Koi ni datega mujhe!
.
.
.
(After years)
Fir me agai yaha dusre sheher,
Aur Is bar to pehli baar ghar ja ri ho,
Sara din khaugi, TV ke samne so jaugi,
Dosto k sath to din bhar ghumugi.
Kyoki ab to me badi ho gai ho,
Open-minded ho gai ho,
Apna khyal khud rakh hi rahi ho,
.
.
.
Socha ab to ma papa bhi bade ho gae hoge,
Aur open-minded bhi, kaha wo datenge mujhe!
.
.
To me pahuchi apne ghar,
Plan tha,
Khana kha ke,
Dosto ke sath ghumne jane ka,
Aur fir 9-10bje ane ka,
Sab soch rakha tha mene,
Ab to sab kar sakti ho me,
Kyoki ab badi ho gai ho me.
.
.
To jaise hi mai pahuchi,
Ma ne kaha jao beta,
Naha ke ajao train se ai ho na,
Fir mandir chale jana,
Aur fir hi khana khana.
.
.
Aur jaise hi ma ne ye bola,
Esha laga mujhe me kuch bhool rahi ho,
Me bhool rahi ho,
Ki jab me is ghar me ai thi,
To yaha ke administrator ne,
Kuch,
Terms and conditions sign karwai thi,
Me bhool rahi ti,
Term lifetime ka tha,
Aur condition me,
Likha hua tha -
Tum chahe kitne bhi badi ho jao,
Kahi bhi chale jao,
Ghar ke niyam kanun to wahi rahenge,
Kyoki hamare lie tum,
Abhi bhi wahi hari sabji na khane wali
Bacchi hi rahogi!!!
.
.
Aur abhi,
Raat ho chuki hai,
daat to nahi padi mujhe,
Lekin
TV band ho chuka hai,
Ghadi pe 11 baj chuka hai!!!